uqde ulfat ke sab ai rashk-e-qamar khol diye sina yun chaak kiya dagh-e-jigar khol diye sab hasinon ne mere qatl pe kamren bandhin dore talwaron ke aur band-e-sipar khol diye aa gaya hosh teri chaal ke mushtaqon ko hashr ki sun ke sada dida-e-tar diye pai taron ne ziya badh gai tariki-e-shab us ne munh dhanp ke kanon ke guhar khol diye aam baran ki tarah se hai karam saqi ka aai barsat ki maikhane ke dar khol diye ja ajab ki nahin gar ahl-e-mohabbat roe mere matam mein hasinon ne bhi sar khol diye aankhen khole hue sab dekh rahe hain tujh ko dil ke jaane ko ye ushshaq ne dar khol diye imtihan hasrat-e-parwaz ka manzur hua zabh kar ke mujhe sayyaad ne par khol diye sharm aaegi mujhe log samajh jaenge tum ne gesu mere lashe par agar khol diye