kya kya na zindagi ke fasane raqam hue lekin jo hasil-e-gham-e-dil the wo kam hue ai tishnagi-e-dard koi gham koi karam muddat guzar gai hai in aankhon ko nam hue milne ko ek izn-e-tabassum to mil gaya kuchh dil hi jaanta hai jo dil par sitam hue daman ka chaak chaak-e-jigar se na mil saka kitni hi bar dast-o-gareban baham hue kis ko hai ye khabar ki ba-unwan-e-zindagi kis husn-e-ehtimam se maslub hum hue arbab-e-ishq-o-ahl-e-hawas mein hai farq kya sab hi teri nigah mein jab mohtaram hue 'shair' tumhin pe tang nahin arsa-e-hayat har ahl-e-fan pe dahr mein aise karam hue