main jo kuchh sochta hun ab tumhein bhi sochna hoga jo hoga zindagi ka dhab tumhein bhi sochna hoga abhi to aankh ojhal hai magar khurshid ke hathon khinchegi jab rida-e-shab tumhein bhi sochna hoga muqaddar mein tumhaare kyun nahin likhkha ba-juz mere salib-o-dar ka mansab tumhein bhi sochna hoga ye kaisa qafila hai jis mein sare log tanha hain ye kis barzakh mein hain hum sab tumhein bhi sochna hoga khuda aur aadmi donon agar ain-e-haqiqat hain haqiqat mein hai kya mazhab tumhein bhi sochna hoga