kya kya nahin kiya magar un par asar nahin shayad ki apni sai-e-junun kar-gar nahin ghabra ke chahte hain ki gardish mein hum rahen manzil kahin na ho koi aisa safar nahin mil jae ek raat mohabbat ki zindagi phir khwahish-e-hayat hamein umr-bhar nahin aawargi mein lutf o aziyyat ke bawajud aisa nahin hua hai ki fikr-e-sahar nahin