main rakh hota gaya aur charagh jalta raha charagh jalta raha aasman pighalta raha main bund bund jala wasl ke kinare par wo lahar lahar badan karwaten badalta raha lagi thi aag darakhton ke par dariya mein main dekhta raha aur aaftab dhalta raha bas ek sham sar-e-dasht-e-karbala utri phir us ke baad gharon se alam nikalta raha gulab bahta raha khwahishon ke pani mein hawaen chalti rahin aur diya machalta raha ajab safar tha mere us ke darmiyan 'qaisar' ghubar udta raha aur sitara chalta raha