kya kya sawal meri nazar puchhti rahi lekin wo aankh thi ki barabar jhuki rahi mele mein ye nigah tujhe dhundti rahi har mah-jabin se tera pata puchhti rahi jate hain na-murad tere aastan se hum ai dost phir milenge agar zindagi rahi aankhon mein tere husn ke jalwe base rahe dil mein tere khayal ki basti basi rahi ek hashr tha ki dil mein musalsal bapa raha ek aag thi ki dil mein barabar lagi rahi main tha kisi ki yaad thi jam-e-sharab tha ye wo nashist thi jo sahar tak jami rahi sham-e-wida-e-dost ka aalam na puchhiye dil ro raha tha lab pe hansi khelti rahi khul kar mila na jam hi us ne koi liya 'rahbar' mere khulus mein shayad kami rahi