karobar-e-ishq ki kasrat kabhi aisi na thi dil na tha to tangi-e-fursat kabhi aisi na thi yas se virani-e-hasrat kabhi aisi na thi dil mein sannata na tha wahshat kabhi aisi na thi un ke wade par hamein jina pada hai hashr tak warna tulani shab-e-furqat kabhi aisi na thi dekh dale zindagi mein wasl-o-furqat ke tilism gham kabhi aisa na tha rahat kabhi aisi na thi aap ne bimar-pursi ki to jina hai wabaal warna marne ki mujhe hasrat kabhi aisi na thi ba-maza hai kis qadar inkar un ka wasl mein tujh mein ai khun-e-jigar lazzat kabhi aisi na thi dil ko kya samjha diya naumidi-e-jawed ne parda-dar-e-gham shab-e-furqat kabhi aisi na thi zindagi ki kashmakash se mar ke pai kuchh najat is se pahle ai 'nazar' fursat kabhi aisi na thi