kya ladke dilli ke hain ayyar aur nat-khat dil len hain yun ki hargiz hoti nahin hai aahat hum aashiqon ko marte kya der kuchh lage hai chat jin ne dil pe khai wo ho gaya hai chat-pat dil hai jidhar ko udhar kuchh aag si lagi thi us pahlu hum jo lete jal jal gai hai karwat kaliyon ko tu ne chat chat ai baghban jo toda bulbul ke dil jigar ko zalim lagi hai kya chat ji hi hate na mera to us ko kya karun main har-chand baithta hun majlis mein us se hat hat deti hai tul bulbul kya nala-o-fughan ko dil ke ulajhne se hain ye aashiqon ki phat phat murde na the hum aise dariya pe jab tha takiya us ghat gah o begah rahne laga tha jamghat ruk ruk ke dil hamara be-tab kyun na howe kasrat se dard-o-gham ki rahta hai us pe jhurmut shab 'mir' se mile hum ek wahm rah gaya hai us ke khayal-e-mu mein ab to gaya bahut lat