sarasar khajlat-o-sharmindagi hai hamari bhi bhala kya zindagi hai sada koi raha hai ne rahega usi ki zat ko paindagi hai khayal-e-khub-ruyan kyunke chhote tabiat mein meri khwahindagi hai nazar apni bhi wan ja hi pade hai jahan aaraish o zebandagi hai ghazal-khwani kar ab ai 'mushafi' tark hua qad kham ye waqt-e-bandagi hai