kya lutf hawaon ke safar mein nahin rakkha ya jazba-e-parwaz hi par mein nahin rakkha nanha sa diya bhi shab-e-tira mein bahut hai sauda kisi khurshid ka sar mein nahin rakkha bujh jaenge khwabon ke charagh aab-e-rawan se is dar se unhen dida-e-tar mein nahin rakkha shayad dar-o-diwar bhi pahchan na paen barson se qadam apne hi ghar mein nahin rakkha har roz koi takhta magar tut raha hai har-chand ki kashti ko bhanwar mein nahin rakkha suraj to paraya tha paraya hi raha wo kyun tum ne shajar rah-e-guzar mein nahin rakkha takmil ke paikar mein jise dhundh rahe hain khaka bhi 'salim' is ka nazar mein nahin rakkha