tujh se mil kar is qadar apnon se begane hue ab to pahchane nahin jate hain pahchane hue but jinhen hum ne tarasha aur khudai saunp di aa gae hain samne patthar wahi tane hue khalq ki tohmat se chhute sang-e-tiflan se bache khub the wo log jo khud apne diwane hue is ko kya kahiye ki hum har haal mein jalte rahe duriyon mein chand the qurbat mein parwane hue apni surat mein bhi 'khatir' ek guna sehr tha aaina-khanon mein farzane bhi diwane hue