kya main ek harf tha likha yun hi mera hona bhi bas hua yun hi jaanti hun ki tum ko pyar nahin yun hi mujh ko laga laga yun hi ek khuda ki wo baat karta tha aur phir ho gaya khuda yun hi kya pata kab qubul ho jae tu bhi to mang lin dua yun hi ek khadsha hai bahke qadmon se dhund hi len na rasta yun hi wo hamare the aur hum un ke aa gai darmiyan ana yun hi tum ne jo kuchh kaha kaha yun hi main ne bhi sun liya suna yun hi ek lamhe mein dil hua un ka ho gaya tha ye faisla yun hi kya zaruri hai manzilon ka safar tu bhi chal koi rasta yun hi mukhtasar si hai dastan 'mita' har koi bas jiya jiya yun hi