munkashif talkhi-e-haalat na hone pai aap aae bhi to kuchh baat na hone pai dil bhar aaya bhi to aankhon se na tapke aansu abr chhaya bhi to barsat na hone pai aap se mil ke bhi akasr yahi mahsus hua aap se goya mulaqat na hone pai hum ne jite hue dekha to hai dil walon ko par ayan surat-e-haalat na hone pai 'soz' har roz hui raat magar hijr ki raat wasl ki raat koi raat na hone pai