kya manzil-e-gham simat gai hai ek aah mein rah kat gai hai phir samne hai pahad si raat phir sham se nind uchat gai hai pahlu mein ye kaisa dard utha hai ye kaun si rah kat gai hai aap aae nahin to maut kambakht aa aa ke palat palat gai hai uth uth ke mariz-e-gham ne puchha kya hijr ki raat kat gai hai phir 'saif' hawa-e-yaad-e-rafta har gham ki naqab ulat gai hai