shuur-e-fitrat-e-insan ka hai bedar ho jaana kahin majbur ban jaana kahin mukhtar ho jaana dikha kar ek jhalak us ka pas-e-diwar ho jaana yahi to aashiqon ke haq mein hai talwar ho jaana mere soe hue jazbaat ka bedar ho jaana kisi behosh ka hai khud-bakhud hushyar ho jaana karun main khun ka dawa to pesh-e-dawar-e-mahshar qayamat hai magar qatil se aankhen chaar ho jaana shikast-e-be-sutun-o-mauj-e-ju-e-shir shahid hain nahin aasan rah-e-ishq ka hamwar ho jaana sharaf hai ye faqat ek ashraf-ul-makhluq insan ka faza-e-alam-e-imkan ki had se par ho jaana ba-qaul-e-'mir' ye insan par tohmat-tarashi hai kisi majbur ka mumkin nahin mukhtar ho jaana yun hi yaad-e-khuda aa jati hai mujh ko kabhi 'shoala' ki jaise sote sote khwab se bedar ho jaana