kya mere aane pe tu ai but-e-maghrur gaya kabhi us rah se nikla to tujhe ghur gaya le gaya subh ke nazdik mujhe khwab ai wae aankh us waqt khuli qafila jab dur gaya gor se nale nahin uthte to nai ugti hai ji gaya par na hamara sar pur-shor gaya chashm-e-khun-basta se kal raat lahu phir tapka hum ne jaana tha ki bas ab to ye nasur gaya na-tawan hum hain ki hain khak gali ki us ki ab to be-taqati se dil ka bhi maqdur gaya le kahin munh pe naqab apne ki ai ghairat-e-subh shama ke chehra-e-rakhshan se to ab nur gaya nala-e-'mir' nahin raat se sunte hum log kya tere kuche se ai shokh wo ranjur gaya