shab hum ko jo us ki dhun rahi hai kya ji mein udhed-bun rahi hai majnun se kaho ki man ke laila khatir teri tane sun rahi hai parwana to jal chuka wale shama sar apna hanuz dhun rahi hai pahlu se utha mere na ghabghab ye potli dard chun rahi hai ye aah pe lakht-e-dil jale hain ya sikh-kabab bhun rahi hai rakkhun na aziz dagh-e-dil ko pas apne yahi to hun rahi hai ai meinh na baras ki 'mushafi' ki chhat ghar ki tamam ghun rahi hai