kya mila sare jahan ki KHak hum ko chhan kar

kya mila sare jahan ki khak hum ko chhan kar
dam-ba-khud baithe hain sannate ka khema tan kar

fikr ke tabut mein sochon ki mayyat le gaya
ghar se nikla tha wo jaane ji mein kya kya than kar

kis qadar gambhirta thi us ki har ek baat mein
le gaya mera sukun wo mera ghar pahchan kar

shahr ki galiyon ke patthar dushman-e-jaan kar liye
bhul kar ek gul-badan ko hum ne apna jaan kar

jism ki diwar se sae lipat kar rah gae
raushni ai raushni mujh ko na yun hairan kar

meri surat se mujhe bhi aashna kar de kabhi
apne chehre ka dikha ke aaina ehsan kar

kaam aaega tere 'sajjad-mirza’ bas yahi
jis qadar bhi ho sake hathon se apne dan kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close