kya milun us se jo mujh ko dekh kar lahja sajae aisi na-qadri pe tuf jo khun ke aansu rulae mere lahje ki latafat par khafa to hai magar jang ju alfaz se tere khuda mujh ko sajae zindagani ki saza us sar-phire se puchhiye dew-surat sar pe phirta hai jo bar-e-gham uthae hae wo muflis jawani jo sisakti hi rahe hae wo kaisi tamanna umr bhar jo bar na aae dekh kar insan ki pasti daur-e-hazir mein 'kamal' hath rakh kar sine par hum kar rahe hain hae hae