kaun hai kis ka sarapa nazar aata hai mujhe kaun ye khwab mein har-waqt daraata hai mujhe kar saka un se na kuchh baat ba-waqt-e-rukhsat yahi ehsas akele mein rulata hai mujhe pesh-khema kisi sazish ka nazar aata hai dur se jab koi aaina dikhata hai mujhe daud padta hun bade pyar se be-khauf-o-khatar koi chehra jo mohabbat se bulata hai mujhe ghaur se sunta hun sar dhunta hun ro padta hun jab koi naghma-e-pur-dard sunata hai mujhe gard-alud faza mein dil-e-diwana mera shauq-e-parwaz ke andaz sikhata hai mujhe jaane kyon shahr-e-tamanna mein 'kamal' apni tarah aaj har shakhs pareshan nazar aata hai mujhe