kya muafiq ho dawa ishq ke bimar ke sath ji hi jate nazar aae hain is aazar ke sath raat majlis mein teri hum bhi khade the chupke jaise taswir laga de koi diwar ke sath mar gae par bhi khuli rah gain aankhen apni kaun is tarah mua hasrat-e-didar ke sath shauq ka kaam khincha dur ki ab mehr misal chashm-e-mushtaq lagi jae hai tumar ke sath rah us shokh ki aashiq se nahin ruk sakti jaan jati hai chali khubi-e-raftar ke sath we din ab salte hain raaton ko barson guzre jin dinon der raha karte the hum yar ke sath zikr-e-gul kya hai saba ab ki khizan mein hum ne dil ko na-chaar lagaya hai khas o khar ke sath kis ko har dam hai lahu rone ka hijran mein dimagh dil ko ek rabt sa hai dida-e-khun-bar ke sath meri us shokh se sohbat hai be-ainihi waisi jaise ban jae kisu sade ko ayyar ke sath dekhiye kis ko shahadat se sar-afraaz karen lag to sab ko hai us shokh ki talwar ke sath bekali us ki na zahir thi jo tu ai bulbul dam-kash-e-'mir' hui us lab o guftar ke sath