shab shauq le gaya tha hamein us ke ghar talak par ghash sa aa gaya wohin pahunche jo dar talak gar hum ko lag gai hain kabhi hichkiyan to hum aath aath aansu roe hain do do pahar talak darta hun main ye gum na kare aap ko kahin phir jad ko hui hai rasai kamar talak parwana kya ude hai charaghan mein to nahin pahuncha jo koi shoala tere baal-o-par talak sahra-e-kushtagan mein tere kal gaya tha main dekhun to lala-zar hai hadd-e-nazar talak phailaw bahr-e-ashk ka apne main kya kahun pahunchi hai mauj gar ye meri bahr-o-bar talak we din kidhar gae ki main likh likh ke khat-e-shauq jata tha aap girya-kunan nama-bar talak shab us ki bazm mein jo gae hum to 'mushafi' aise jame ki wan se na utthe sahar talak