kya nahin meri hatheli mein sama sakta hai jab tera hath mere hath mein aa sakta hai aur to khair nahin baat kisi ke bas ki han picasso teri taswir bana sakta hai tujh ko girne nahin dunga main yaqin kar mera hath apna tu meri or badha sakta hai ek shahzada hai jo nind mein hai barson se tera bosa hi use hosh mein la sakta hai main wo khushbu hun akeli rahi hai jo janmon kya koi phul mera sath nibha sakta hai aable kya hain faqat qalb ki hariyali hain tu bhi is dasht mein kuchh ped laga sakta hai