main Thik-Thak hun wo bhi na kuchh malal kare

main thik-thak hun wo bhi na kuchh malal kare
bas us se kahna ki paudhon ki dekh-bhaal kare

hasin sham mein hum daen baen baithe hon
tumhaare sae se saya mera visal kare

wo dhup hai ki gae haar jis se sab sae
ab aise mein to teri zulf kuchh kamal kare

kabhi to khwab mein aae mere raqibon ke
aur un ke khwab mein bhi mera hi khayal kare

wo apni lau ko zara aur tez kar le bas
agar ye raat charaghon se kuchh sawal kare


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close