kya nazar aaega nazir mere zakhm ghaeb hain ba-zahir mere phir mujhe dost mile patthar ke aaine tut gae phir mere in mein kis ko nazar-andaz karun samne hain jo manazir mere dushmanon se mujhe pahchan mili kaam aae wahi aakhir mere ishq ki rah mein khatre hain bahut soch lena ye musafir mere dard sine mein jo poshida the ashk wo kar gae zahir mere likhne baitha hai kahani meri thak na jae tu muharrir mere