sar-o-gardan ki judai dekho tegh-e-qatil ki safai dekho tegh lachka ke uthai dekho na mudak jae kalai dekho mujh se kahta hai lahu mal ke mera ye mere dast-e-hinai dekho mahfil-e-yar talak pahunchaya meri qismat ki rasai dekho tut jae na hamari tauba phir ghata charkh pe chhai dekho main kahan aur kahan rifat-e-arsh magar aahon ki rasai dekho kyun bigadte ho kisi se 'alim' apni qismat ki burai dekho