kya nigahon ne koi KHwab sajaya na kabhi

kya nigahon ne koi khwab sajaya na kabhi
kya kisi ko bhi qarib apne bulaya na kabhi

aate rahne ke liye shukriya ai yaad ki dost
main hi mujrim hun teri yaad mein aaya na kabhi

us ki album mein to taswir meri hai maujud
us ne taswir ko sine se lagaya na kabhi

main tujhe kaise bata deta dil-e-naz ka haal
haal-e-dil main ne to khud ko bhi bataya na kabhi

dil chura kar mera kahta hai mujhe chor ye ab
khud hi chori hua us ne to churaya na kabhi

qahqahe auron ki khushiyon mein rahe hain shamil
mere haalat ne khud mujh ko hansaya na kabhi

main ne auron se suna hai ki nasim aati hai
kyun mujhe waqt-e-sahar us ne jagaya na kabhi

teri 'jawed' ye aadat hai khuda ko bhi pasand
tu ne nazron se kisi ko bhi giraya na kabhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close