pas jis ke na tha kuchh raKHt-e-safar main hi tha

pas jis ke na tha kuchh rakht-e-safar main hi tha
raat ke dasht mein be-khauf-o-khatar main hi tha

dur tak daera-dar-daera gharqab hua
sina-e-shab mein siyahi ka bhanwar main hi tha

bar se aaj har ek shakh jhuki jati hai
ya chaman mein kabhi be-barg-o-samar main hi tha

mere atraf sadaon ka ghana jangal tha
tez aandhi mein bikharne ko magar main hi tha

jaane wo kaun tha main dhund raha tha jis ko
jo mere samne aaya tha agar main hi tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close