kya pata hum ko mila hai apna aur kuchh nashsha chadha hai apna kan padti nahin aawaz koi dil mein wo shor bapa hai apna ab to har baat pe hota hai guman waqia koi suna hai apna har bagule ko hai nisbat hum se dasht tak saya gaya hai apna khud hi darwaze pe dastak di hai khud hi dar khol diya hai apna dil ki ek shakh-e-burida ke siwa chaman-e-dahr mein kya hai apna koi aawaz koi hangama qafila rukne laga hai apna apni aawaz pe chaunk uthta hai dil mein jo chor chhupa hai apna kaun tha madd-e-muqabil 'baqi' khud pe hi war pada hai apna