guzishtagan mein hamara shumar hone mein ab aur waqt hai kitna ghubar hone mein tu mera raaz bhi kaise chhupa gaya mujh se tera jawab nahin raazdar hone mein ye qaid-khana bhi ek shab mein kitna phail gaya ab aur der lagegi farar hone mein yahan kisi ka koi gham-gusar kyun hoga ki faeda hi nahin gham-gusar hone mein hai ek umr ka hasil hamari bekari ganwaen kyun ise masruf-e-kar hone mein is ek ashk-e-nadamat pe naz kar ghaer kahan ye baat ibaadat-guzar hone mein