kya puchh rahe ho dil-e-bimar ki baaten kambakht samajhta hi nahin pyar ki baaten sayyaad ne sun li to badha dega sitam aur chhedo na qafas mein gul-o-gulzar ki baaten aankhon se rawan ho gaya ashkon ka samundar yaad aain jo bichhde hue gham-khwar ki baaten har dubne wale ke badhate hain maraatib tufan ke qisse hon ki manjdhaar ki baaten 'ghamgin' mohabbat ki haqiqat ho wahan kya unwan hon jis bazm ke hathiyar ki baaten