kya puchhte ho dard ke maron ki zindagi yani falak ke dubte taron ki zindagi phailaun hath ja ke bhala kis ke samne hum ko nahin gawara sahaaron ki zindagi sahil pe aa ke mauj-e-talatum se barha barbaad ho gai hai hazaron ki zindagi aati hai yaad kyun mujhe rah rah ke aaj bhi gulshan ke dil-fareb nazaron ki zindagi hai aandhiyon ka khauf na hai dubne ka dar mujh ko nahin pasand kinaron ki zindagi kis darja khush-gawar hai tanhaiyon mein aaj 'saifi' chamakte chand sitaron ki zindagi