wo aariz gulabi wo gesu ghanere isi samt hain dida-o-dil ke phere ujale ki rudad wo dil likhega ki jis dil se paspa hue hain andhere bada farq hai tere mere jahan mein idhar zulmat-e-shab udhar hain sawere kisi se kabhi aap-biti na kahna umad aaenge har taraf se andhere khulus-o-dil-o-jaan meri kam-nigahi fareb-e-musalsal bhi ehsan tere wo ek wada-e-jam-e-sarshaar-o-rangin wo ek sham lekin hazaron sawere har ek fitna-gar dekh le rang-e-'saifi' isi aashiyane mein sukh ke basere