kya puchhte ho mujh ko mohabbat mein kya mila donon-jahan ka dard ba-nam-e-khuda mila shayad yahi hai hasil-e-payan-e-arzu apna pata nahin hai jo un ka pata mila afsana-e-hayat ki takmil ho gai jab un ke silsile se mera silsila mila jab se nahin wo naghma-zan-e-saz-e-zindagi ek ek tar dil ka mujhe be-sada mila tum kya mile mizha ke ziya-bar ku-ba-ku parde mein shab ke subh ka ru-e-safa mila har aarzu ki ek wahi jaan-e-arzu har muddaa ka ek wahi muddaa mila wajh-e-dawam fitrat-e-gham hi nahin faqat dil bhi azal-taraaz abad-ashna mila kaisi bahaar mauja-e-kaif-o-nishat kya pahlu-e-gul na daman-e-baad-e-saba mila jannat chamak chamak uthi rang-o-jamal ki kis gul ki aarzu ka sharaf ai 'raza' mila