dil-paron ki hum jo nigahbani karte nur sahaare apni nigarani karte hote hum bhi gar ajdad ki fitrat par shola-zaron mein gul-afshani karte pyar bharosa shafqat kho dete sab kuchh kaise badon ki hum na-farmani karte kal jo agar sakhti se pesh aae hote hum bhi apne ghar mein sultani karte dur-nigahi dida phade baithi thi kis kafir ke sang musalmani karte sar takraate chup ko dete goyai yun mashuq ko but khud ko mani karte