kya puchhte ho shahr mein ghar aur hamara rahne ka hai andaz idhar aur hamara wo tegh na jaane kidhar uthti hai abhi to jhagda hai dil-e-sina-sipar aur hamara jab hosh mein aae to use dekh bhi lenge filhaal hai andaz-e-nazar aur hamara ye mohr o nishan tabl-o-alam khub hai lekin badh jaega kuchh bar-e-safar aur hamara dil aisa makan chhod ke ye haal hua hai yani nigah-e-khana-badar aur hamara