zindagi mein yun to har ek hadisa nagah tha

zindagi mein yun to har ek hadisa nagah tha
jism ke parchhain banne ka amal jaan-kah tha

ab to sare dasht-o-dariya in nigahon mein rahen
din gae zauq-e-safar mein jab koi gumrah tha

khali-pan apni jagah kuchh talkhiyan rakhta to hai
khokhle-pan se rifaqat ke bhi dil aagah tha

tewar-e-dariya ka shikwa hai na tufan ka gila
meri parwaren khafa thin baadban bad-khwah tha

ajnabiyyat aa gai hai mujh mein thodi si to kya
ye zamana bhi meri jaanib se la-parwah tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close