kya raushni-e-husn-e-sabih anjuman mein hai fanus mein hai shama ki tan pairahan mein hai bhadkati hai junun ko gul-o-lala ki bahaar ek aag si lagi hui sare chaman mein hai purze samajh ke jama-e-tan ke uda junun wo jama-zeb bhi to usi pairahan mein hai sukhe shajar hare jo hue phir to kya hua nasur-e-nau hamare bhi zakhm-e-kuhan mein hai bazm-e-khayal-e-yar mein ghairon ka kya guzar khalwat jo chahiye wo usi anjuman mein hai taqdir-e-reg-e-shisha-e-saat mili mujhe kulfat safar ki raat din apne watan mein hai bulbul ki khush-nawai ka bais hai ishq-e-gul dil mein jo dard hai to maza bhi sukhan mein hai rang-e-khizan bhi jis ka hai rashk-e-bahaar-e-abr wo kisht zafaran ki hamare watan mein hai