aarzuen nazr-e-dauran nazr-e-jaanan ho gain kya bahaaren thin jo do phulon pe qurban ho gain gham ki shirin talkhiyan jine ka saman ho gain bijliyan khun-e-rag-e-jaan-e-gulistan ho gain ruh-e-gham ruh-e-tarab ruh-e-ajal ruh-e-hayat jab ye baham mil gain taqdir-e-insan ho gain yaad hai un ki ki ek muaj-e-jamal-o-rang-o-bu shamen kaliyon ki si us dil mein farozan ho gain aansuon ke zabt se betabi-e-dil badh gai is tarah simtin ye bunden ek tufan ho gain ek wo hain jin ke virane bane hain bastiyan ek hum hain bastiyan bhi jin ki viran ho gain un ka jalwa dekhte hi ud gae hosh-o-hawas kashtiyan sahil se lag kar nazr-e-tufan ho gain hadson ne kar diya paida khayal-e-hifz-e-jaan bijliyan hi wajh-e-tanzim-e-gulistan ho gain chhat gain 'rana' khunuk aahon se gham ki zulmaten badliyan thandi hawaon se pareshan ho gain