kya rawish rakkhi hai phir aapne auron ke liye

kya rawish rakkhi hai phir aap ne auron ke liye
gar yahi tarz-e-mulaqat hai apnon ke liye

rasm-e-ulfat bhi agar aap ke aadab mein hai
to utha rakkhi hai wo kaun se waqton ke liye

jaan ka rog bana li jo mohabbat hum ne
ab wo sunte hain ki tafrih hai logon ke liye

teri baaten ye tera harf-e-tasalli jaise
samne rakh de khilaune koi bachchon ke liye

kabhi aalam tha ki har khat tha tera dida-e-tar
rah gae ab to ye auraq hawalon ke liye

mere chehre pe ho kyun rang-e-shikayat 'anjum'
mere daman ka har ek tar hai yaron ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close