kya roz-e-hashr dun tujhe ai dad-gar jawab aamal-name ka to hai peshani par jawab ruk ruk ke hans ke yun hi to de fitna-gar jawab deta hai aur lutf mujhe tera har jawab kis se misal dun teri zulf-e-daraaz ko umr-e-tawil-e-khizr hai ek mukhtasar jawab mushkil ke waqt dil hi se kuchh mashwara karen kyun den kisi ko ghair se hum puchh kar jawab karte hain sajda naqsh-e-qadam ko tamam log hai khana-e-khuda ka teri rahguzar jawab munkir-nakir puchhte hain dant dant kar hon muntashir hawas to kya de bashar jawab khuld-o-saqar ke bich mein hai koi ishq-e-yar hai pul-siraat ka ye meri rahguzar jawab kyun sar jhuka raha hai zara aankh to mila degi mere sawal ka teri nazar jawab ghusse mein yun na aao ki ghussa haram hai tum baat hi se baat ka do soch kar jawab zarron ki tarah khak mein hain aashiqon ke dil gar tu kare sawal to de rahguzar jawab main ne kiya salam to chilman mein chhup gae dar-parda degi ab nigah-e-parda-dar jawab hangama hashr ka sifat-e-gard rah gaya tere khiram ka na hua fitna-gar jawab kya apne bhole-pan se kahen dam mein aae ho har baat ka jo dete ho ab soch kar jawab kya hoga khak ho ke sar-e-charkh jaega ye zer-e-pa sawal wo baala-e-sar jawab likkha hai mujh ko ho gaya tera lahu safed main bhi likhunga khun se sar phod kar jawab behosh kar ke puchhte ho dil ka muddaa deta bhi hai huzur kahin be-khabar jawab ghusse se kuchh kahun to wo kis tarah chup rahe ek baat ka jo sham se de ta-sahar jawab chitwan se tad jate hain 'mail' ka muddaa dil mein idhar sawal hai lab par udhar jawab