sahma sahma har ek chehra manzar manzar khun mein tar shahr se jangal hi achchha hai chal chidiya tu apne ghar tum to khat mein likh deti ho ghar mein ji ghabraata hai tum kya jaano kya hota hai haal hamara sarhad par be-mausam hi chha jate hain baadal teri yaadon ke be-mausam hi ho jati hai barish dil ki dharti par aa bhi ja ab aane wale kuchh un ko bhi chain pade kab se tera rasta dekhen chhat aangan diwar-o-dar jis ki baaten amman abbu aksar karte rahte hain sarhad par na jaane kaisa wo hoga purkhon ka ghar