kya sabab bataen hum apni is udasi ka rasta nahin milta dard ko nikasi ka ek tez jhonke mein ud gae sabhi kheme dil bhi kya kare shikwa apni be-asasi ka har taraf khamoshi ki ek dabiz chadar hai hum ne karb jhela hai apni khud-shanasi ka zakhm zakhm chehre par qahqahe saja dale raaz bhi chhupana tha apni bad-hawasi ka tum gae to kuchh aise laut kar nahin aae haal bhi nahin puchha is nagar ke basi ka main ne apne ashkon ko aankh mein jala dala kya kare gila koi teri na-sipasi ka