kya shahr-e-nau se mausam-e-saffak kam hue

kya shahr-e-nau se mausam-e-saffak kam hue
achchha hua ki kuchh khas-o-khashak kam hue

har lamha sina tane khade raste mein hain
mere safar ke khar bhi kya khak kam hue

har aadmi to aaj zahin-o-fatin hai
daur-e-jadid mein kahan chaalak kam hue

ye jaanne ki aaj bhi koshish kisi ne ki
kyon falsafi ke pas bhi idrak kam hue

sham-o-sahar to ek hi faza karti hai tawaf
aankhon se kab nazara-e-ghamnak kam hue

ab bhi riwaj-o-rasm wahi hain magar kahan
uryaniyat ke parda-e-poshak kam hue

'atish' yahi bahaar ki saughat kam nahin
is bar-e-gul ke daman-e-sad-chaak kam hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close