kya shikwa karen tohmat-e-be-baal-o-pari ka

kya shikwa karen tohmat-e-be-baal-o-pari ka
har din hai shab-e-zulf ki bedad-gari ka

rahne do abhi baam pe khulti hui aankhen
manzar ye mere samne hai khush-nazari ka

ek hath bulawe ke liye rauzan-e-jaan mein
ek hath alamat hai kisi sabz-pari ka

ehsas-e-peshemani-e-ahbab na puchho
har ek ko yan gham hai faqat be-hunari ka

diwar-o-dar-o-saqf-o-sutun farsh-o-daricha
rishta kisi ghar se nahin hota safari ka

basti mere ahbab se khali hai abhi tak
saya hai meri jaan pe faqat bad-nazari ka

jadu hai tere jism ke har pech mein kham mein
nashsha hai rag-o-pai mein bhi shorida-sari ka

chalte rahe tujh tak hi pahunchne ke liye sab
sab rang uda jata hai nadida-wari ka

in rozon hai badli hui ye taba hamari
ab khushk raha karta hai mausam bhi tari ka

hum kab sar-o-saman-e-sukhan se rahe khali
ek umr se ye shaghl raha dard-sari ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close