hawa mein zor udhar sud-o-ziyan ka idhar paiwand-e-khasta baadban ka daricha kholne se aar tum ko hamein bhi dar bahut hai shahr-e-jaan ka mere hisse mein hai khana-kharabi teri qismat mein rasta kahkashan ka chalo chal kar takan apni utaren kahin rasta na kho jae makan ka kisi ke palle kya padti kahani waraq gum hai hamari dastan ka ye kis se moajiza sarzad hua hai har ek dar khul gaya hai jism-o-jaan ka sajaen ba-dil-e-na-khwasta kyon zaban-e-yar mein takhta dukan ka