kya sitam kar gai ai dost teri chashm-e-karam jaise tere nahin duniya ke gunahgar hain hum koi aalam ho bahar-haal guzar jata hai hum na sargashta-e-rahat hain na aashufta-e-gham teri zulfon ki ghani chhanw bahut dur sahi jada-paima hain hawadis ki kadi dhup mein hum nikhat-e-gul se kuchh is tarah mulaqat hui yaad aaya teri begana-washi ka aalam hum hain tufan-e-malamat hai gali hai teri husn-e-taqdir se hote hain ye haalat baham le gaya ishq kisi shahid-e-nadida tak muddaton zauq-e-parastish ne tarashe the sanam hum ne har uqda-e-dushwar ka munh chum liya kitne dilkash hain teri zulf-e-girah-gir ke kham ku-e-qatil hi sahi manzil-e-rahat na sahi thak ke baithe hain ki aate hain bahut dur se hum ku-e-jaanan mein kahin aaj to hum bhi the 'rawish' shukr hai hum ko na pahchan sake dair o haram