ye aur baat hamein surat-e-gulab lage 'jamil' zakhm lage aur be-hisab lage tumhaare baad na takmil ho saki apni tumhaare baad adhure tamam khwab lage main kaise tujh ko pukarun kahan se laun tujhe tere baghair agar zindagi azab lage main jitni bar padhun kaise kaise rang bharun tera gulab sa chehra mujhe kitab lage har ek sawal pe to muskura ke rah jae hamein to ek hi jaisa tera jawab lage dikhai de kabhi mahtab mein teri surat kabhi tu din ke ujale mein aaftab lage 'jamil' khwab haqiqat-numa bhi hote hain wahi qarib-e-rag-e-jaan hai jo sarab lage