kya sochte rahte ho taswir bana kar ke kyun us se nahin kahte kuchh hont hila kar ke ghar us ne banaya tha ek sabr o raza kar ke mitti mein mila dala ehsan jata kar ke jo jaan se pyare the nam un ne hi puchha hai hairan hua main to is shahr mein aa kar ke tahzib-e-musalla se waqif hi na tha kuchh bhi aur baith gaya dekho sajjade pe aa kar ke muddat se pata us ka malum nahin kuchh bhi mashhur bahut tha jo aashufta-nawa kar ke