kya sune koi zabani meri aur phir wo bhi kahani meri shahr sahra ki tarah lagta hai raegan naql-e-makani meri ek chehra mere chehre se alag ek taswir purani meri main ki dariya tha jo ab sakit hun kho gai mujh mein rawani meri raat shabnam mein bahut bhiga tha dekh ab shoala-fishani meri